Intezar





















Na kar mujhpar ye mohabbat ki baarishe jaana,
khaak hogayi hai jalkar saari khwaahishe jaana,
meri maut ko mukammal hone nahi deti hain ye
bas aakar mita jaao in saanso ki saazishe jaana...!

Intezar!



Dekh jara mohabbat me kaise ishkaal hote hain
Jab girte hai kuch ashk to kitne sawaal hote hain

Shohrat hai unki bewafai se, hum tanha wafa se
Mohabbat mein bhi kaise kaise misaal hote hain

Kabhi to hai khwab-o-khayal rooh tak guftaar
to kabhi in jismo ke saaye bhi muhaal hote hain

Yun to ek muddat se wo bhi hain muntazir mere
Khuda jaane kab wo meri deed par nihaal hote hain

Gamgeen to hai har dard-o-sukoon jo tumne diye
zakhm hain atfaal abi, dekhiye kab Jamaal hote hain

badi shiddat se batihe hain maut ke Intezar me jaana
Dekhte hain tukde ye kafan ke kab istemaal hote hain !


Shukriya
Intezar !
 


Dekh jara mohabbat me kaise ishkaal hote hain
Jab girte hai kuch ashk to kitne sawaal hote hain
achaa kya sawaal hai tumharaab muj se. sirf shikaya hi rahti hai. babaa main masroof hoon aur har baar bulaane pe nahin aa sakti samjhe. Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
Shohrat hai unki bewafai se, hum tanha wafa se
Mohabbat mein bhi kaise kaise misaal hote hain
acha ab main bewafaa ho gayi.zaraa batanaa kya bewafaai ki hai maine yehi na ki tumhein chahti hoon aur khud ko bhulaa baithi hoon. Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
Kabhi to hai khwab-o-khayal rooh tak guftaar
to kabhi in jismo ke saaye bhi muhaal hote hain
khyali pulaao mat pakaaya karo. kuch haqiqat mein bhi zindagi guzaaro. icon_geek icon_geek icon_geek icon_geek icon_geek
Yun to ek muddat se wo bhi hain muntazir mere
Khuda jaane kab wo meri deed par nihaal hote hain
tum mere khawaab mein to aate hi rahte ho aur kyaa chahiye drunken_smilie drunken_smilie drunken_smilie
Gamgeen to hai har dard-o-sukoon jo tumne diye
zakhm hain atfaal abi, dekhiye kab Jamaal hote hain
badaa hi haseen aur khoobsurat ilzaam hai mujh pe . khush hui tongue3 tongue3 tongue3 tongue3 tongue3
badi shiddat se batihe hain maut ke Intezar me jaana
Dekhte hain tukde ye kafan ke kab istemaal hote hain !

kar di na buzdilwali baat. itni jaldi haar maan gaye. abhi to main aur sataao.n gi tumhein. kya meraa tangg karna tumhein pasand nahin
BangHead BangHead

Shukriya
Intezar ! 




 Toote kanch ke tukde jab pairon me lage,
lage chot ke zakhmo se khoon behne lage, 
us khoon ke katron se likha apne sanam ka naam, 
giske liye wo ghao the sahe, 
par kya kahein khuda ki berukhi ko, 
us bewafa ki bewafai ko, 
humare hote-hote wo kisi aur ke hone lage, 
lekin phir bhi na chuti aas chal diye zakhmi paaon se, 
aur nishan banate chale gaye, ki 
lautenge kabhi humare nishano ko pehchan ke, 
par na aya unhe humara khayal abhi tak, 
kahin aisa na ho unke intezar me zindagi ki shama bujhne lage.





Khawabon me ek dhundhla sa chehra nazar aata,
tasavur me ye dil kho jata hai,
na jaane kya kashish hai us chehre me,
jo har pal ye ankhein ussika deedar chahta hai...




Dil ke jharokhe se kabhi samne aao,

chehre par gira parda kabhi hata kar aao,
muddaton se kiya hai intezar tera,
kabhi to humari chahat ki mehfil me aao.
 




Badi besabri se intezar hai unka,

na jane kab aaenge wo khawabon se nikal kar,
lamba hua hai intezar humara,
na jane kab hoga deedar unka.
Dil tham ke baithe rehte hain khayalon me unke,
shayad kabhi nazar aaega chehra unka.




Andhere me bhi roshni si lagti hai,

Tere bina kuch kami si lagti hai,
Ek bar samne aa jao,
ki tere bina mehfil bhi suni si lagti hai.


Dil me chupe raz ko sunne ka intezar hai,
uske khamosh labon ke khulne ka intezar hai,
karte hain wo bhi humse mohabbat unke ikrar ka intezar hai,
agar na kar paya wo isbar itna bhi,
to ab hume maut ko gale lagane ka intezar hai.





Bichde dost ke lautne ka intezar hai,

lafzon me uske apna naam sunne ka intezar hai,
kayee arse se dekha nahi janab ko,
uski ek jhalak pane ka intezar hai...

 

Stumble
Delicious
Technorati
Twitter
Facebook
Yahoo
Reddit
Feed

No comments:

Post a Comment